Tuesday, March 30, 2010

NANA!

Have been watching NANA on etc with Taran Adarsh. What a man! Absolutely unpretentious. Some of the quotes he said.

Mumbai kiski hain? Meri nahin lagati hain. Jaisi Mumbai meri thi, waisi rahi hi nahin hain. Toh meri kaisi hui?


If I were before him when he said above, and the way he said it, I would have touched his feet.

What's fun in watching mindless comedies? Ghar mein dimaag rakh ke aao phir dekho! Ghar mein kyon rakh kar aau? Movie tabhi successful hain jab aadmi hall se nikle toh ek problem lekar nikle. Aur phir hum utne selfish bhi toh ho gaye hain. Pehle HUM the, ab woh "HUM" "MAIN" bankar reh gaya hain. Main, meri zindagi, mere log, mere problems. Toh jab aap movie dekhte hain aur agar aap khudko character ke saath identify karte hain toh uski problems aapko apni lagti hain. Aapko lagta hain ki woh problems aapbiti hain. Tab jaakar aapko problems ki ahmiyat samajh mein aati hain. Aur yeh zaroori hain.

Aajkal saare actors, koi iska scene katta hain, koi uska. Humein yeh sab nahin aata! Kya hota hain ki tu bada ya main bada mein ya tu jeetta hain ya main, but film haar jaati hain.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home